sabr karta huun to ehsas ziyan bolta hai
chup jo rahta huun to phir saara jahan bolta hai
ḳhaak hone ko hai ab dil ki ḳhabar bhi le lo
dil se uThta hua aahon ka dhuan bolta hai
sun ke hota huun subuk-sair ki vo shoḳh kabhi
lafz arzan hain to chun chun ke garan bolta hai
tere baare men sab anjan hue jaate hain
puchhta huun to koi aa ke kahan bolta hai
oḌh leta hai yaqin maslahatan chup ka lihaf
is ghaḌi sach ki har ik baat guman bolta hai
guftugu sunta huun teri hi yahan sham-o-sahar
kuchh na kuchh mujh se tira ḳhali makan bolta hai
chandni men jo kabhi ankh-micholi se rachi
tu kahan hai tira ek ek nishan bolta hai
mil ke masrur hua aaj bahut ‘jami’ se
vo bhi meri hi tarah urdu zaban bolta hai
Leave a Reply