sochta huun ki vo kaisa hoga
aina hoga ki chehra hoga
jab khuli hoti tire dosh pe zulf
abr bhi tuut ke barsa hoga
jis ke jalvon ki koi had hi nahin
main ne kitna use chaha hoga
log firdaus jise kahte hain
is zamin ka koi tukda hoga
jaam kyon haath se gir jaata hai
mai-kade men koi pyasa hoga
mahfilen karti hain khud us ka tavaf
kaun kahta hai vo tanha hoga
us ki mahfil men chale ho to ‘ziya’
dida-o-dil pe bhi pahra hoga
Leave a Reply