jo milne aata hai mil kar juda bhi hota hai
vo ḳhush-mizaj hai lekin ḳhafa bhi hota hai
vo bhuul baiThe nasha kar ke apni daulat ka
nasha koi bhi ho ik din hua bhi hota hai
kabhi kabhi hi sahi jeb bhari hoti hai
kabhi kabhi to ye banda ḳhuda bhi hota hai
main is hasin ko ye baat kaise samjha.un
jo behtarin hai us se siva bhi hota hai
tumhari baat ka main ne bura kahan maana
jo apna hota hai us se gila bhi hota hai
kisi mariz se kahna ki aap achchhe hain
ye baat kahne ka matlab dava bhi hota hai
ye baat mere siva janta nahin koi
ki us ki baat men gahra nasha bhi hota hai
kabhi jo galiyan de maan to ye samajh lena
ki us ki gaali ka matlab dua bhi hota hai
Leave a Reply