pattharon ko suna.i deta hai
jo tu aise duha.i deta hai
peT ḳhali ho gar parindon ka
daam kis ko dikha.i deta hai
koi dushman kabhi nahin deta
zaḳhm jaisa ki bhaa.i deta hai
main hi ḳhud chhoḌta nahin huun qafas
vo to mujh ko riha.i deta hai
aise ab zaviye se baiTha huun
charon-janib dikha.i deta hai
sach to ankhon men paḌh liya ‘arshad’
yaar tu kyuun safa.i deta hai
Leave a Reply