jalva-e-gul ka sabab dida-e-tar hai ki nahin
meri aahon se baharan ki sahar hai ki nahin
rah-e-gum-karda huun kuchh us ko khabar hai ki nahin
us ki palkon pe sitaron ka guzar hai ki nahin
dil se milti to hai ik raah kahin se aa kar
sochta huun ye tiri rahguzar hai ki nahin
tez ho dast-e-sitam de bhi sharab ai saaqi
tegh gardan pe sahi jaam sipar hai ki nahin
main jo kahta tha so ai rahbar-e-kotah-khiram
teri manzil bhi miri gard-e-safar hai ki nahin
ahl-e-taqdir ye hai mojaza-e-dast-e-amal
jo khazaf main ne uthaya vo guhar hai ki nahin
dekh kaliyon ka chatakna sar-e-gulshan sayyad
sab ki aur sab se juda apni dagar hai ki nahin
ham rivayat ke munkir nahin lekin ‘majruh’
zamzama-sanj mira khun-e-jigar hai ki nahin
Leave a Reply