• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Geet / Tum Chali Jaogi Parchhaiyan Rah Jaengi

Tum Chali Jaogi Parchhaiyan Rah Jaengi

sahir-ludhianvi

tum chali jaogi parchhaiyan rah jaengi

kuchh na kuchh husn ki raanaiyan rah jaengi

tum ki us jhiil ke sahil pe mili ho mujh se

jab bhi dekhunga yahin mujh ko nazar aaogi

yaad mitti hai na manzar koi mit sakta hai

duur ja kar bhi tum apne ko yahin paogi

ghul ke rah jaegi jhonkon men badan ki khushbu

zulf ka aks ghataon men rahega sadiyon

phuul chupke se chura lenge labon ki surkhi

ye javan husn fazaon men rahega sadiyon

is dhadakti hui shadab-o-hasin vaadi men

ye na samjho ki zara der ka qissa ho tum

ab hamesha ke liye mere muqaddar ki tarah

in nazaron ke muqaddar ka bhi hissa ho tum

tum chali jaogi parchhaiyan rah jaengi

kuchh na kuchh husn ki raanaiyan rah jaengi

Filed Under: Geet Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hisar-E-Gham Se Nikal Apni Zindagani Bacha

Wo Jo Ham-Rahi Ka Ghurur Tha Wo Sawad-E-Rah Mein Jal-Bujha

sahir-ludhianvi

Main Zindagi Ka Sath Nibhata Chala Gaya

poet

Mahw Hun Main Jo Us Sitamgar Ka

nazeer-akbarabadi

Rakhte Hain Jo Hum Chah Tumhaari dil Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet