sulagti ret ko dariya nahin kaha main ne
ghazal kahi hai qasida nahin kaha main ne
huzur mohtaram izzat-ma.ab ali-janab
ye saara jhuuT hai aisa nahin kaha main ne
jo bevafa tha usi ki taraf ishara kiya
kinayatan ise duniya nahin kaha main ne
jo hu-ba-hu tiri tasvir ban ke aa jaa.e
jo sach kahun to kuchh aisa nahin kaha main ne
chaḌha.e us pe nahin main ne san.aton ke ghilaf
ki sach ko sher men bandha nahin kaha main ne
jo kahna chahta huun vo abhi kaha hi nahin
vagarna kahne ko kya kya nahin kaha main ne
Leave a Reply