labalab dukh se tha qissa hamara
magar chhalka nahin dariya hamara
asar us par to kab hona tha lekin
tamasha ban gaya rona hamara
magar aane se pahle soch lo tum
bahut viran hai rasta hamara
ajab tapti hui miTTi hai apni
ubalta rahta hai dariya hamara
tumhare haq men bhi achchha nahin hai
tumhare gham men yuun jiina hamara
usi ko dukh ka andaza tha apne
vahi tanha sahara tha hamara
Leave a Reply