• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Hasin Honge Mehrban Mere Baad

Ye Hasin Honge Mehrban Mere Baad

ye hasin honge mehrban mire ba.ad

anDe dengi ye murghiyan mire ba.ad

main to mar ja.unga magar socho

kya karengi tumhari maan mire ba.ad

ḳhuub abhi qahqaha laga lo tum

bhon-bhon ro.o.ge mehrban mire ba.ad

jab na dekhega vo bahar-e-chaman

mar hi ja.ega baghban mire ba.ad

baḌh ga.i hai jo aaj kal mire dost

khinchi ja.egi vo zaban mire ba.ad

dekh kar hashr-ḳhez hangame

rafu-chakkar hui amaan mire ba.ad

tum shikam-ser kis tarah hoge

kaun paTega ye kuaan mare ba.ad

gul to gul tang aa ke kanTe bhi

denge gulchin ko galiyan mire ba.ad

jis men aksar ḳhulus milta tha

ho ga.i band vo dukan mire ba.ad

jahan jhukte hain sar salatin ke

hai muqaffal vo astan mire ba.ad

roz uḌate hain jo man-o-salva

vo chaba.enge Thurriyan mire ba.ad

mire qabil nahin abhi ye hasin

ye chalengi davanniyan mire ba.ad

lab-e-shirin ki qadr hai mujh se

munh pe bhinkengi makkhiyan mire ba.ad

sar-bulandi jinhen nasib hai ‘shauq’

kal vo kha.enge jutiyan mire ba.ad

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

mushafi-ghulam-hamdani

Aata Hai Kis Andaz Se Tuk Naz To dekho

poet

Pas-E-Diwar Zindan Zindagi Maujud Rahti Hai

KHamosh Lahje Mein Mujhse Dalil Karte Hue

Is Safai Se Meri Baat Ka Pahlu kaTe

poet

Zindagi Mein Tujhko Pana Aaj Tak Bhula Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet