mujh men kisi ka aks na partav ḳhali a.ina huun main
mere TukḌe kaun sameTe ab TuTun ya bikhrun main
meri rasa.i meri hadon tak teri faza men tu bhi qaid
tu mujh tak aa.e to kyun-kar tujh tak kaise pahunchun main
ruḳh pe jo tere shafaq khili hai ḳhuun hai mere ḳhvabon ka
kahe tu ai sham-e-tanha.i tujh se lipaT kar ro luun main
duuri ke ye lamhe baḌh kar kahin na sadiyan ban jaa.en
tujh ko jab apne paas na pa.un jaane kya kya sochun main
divaron se sar Takra.un band darichon ke pichhe
khuli faza men aa niklun to mauj-e-hava se uljhun main
kaun sunega ye tulani qissa kis ko fursat hai
jo kuchh mujh par biit rahi hai apne dil men rakkhun main
lafzon men ehsas ki kaliyan khila raha huun ai ‘maḳhmur’
jaise koi mujh se kahta ho aa tere lab chumun main
Leave a Reply