sirf ḳhayalon men na raha kar
ḳhud se bahar bhi nikla kar
lab pe nahin atin sab baten
ḳhamoshi ko bhi samjha kar
umr sanvar ja.egi teri
pyaar ko apna a.ina kar
jab tu koi qalam ḳharide
pahle un ka naam likha kar
soch samajh sab taaq pe rakh kar
pyaar men bachchon sa machla kar
Leave a Reply