jugnu ke saath saath hi mahtab bhi to hain
ham dariya-burd gauhar-e-nayab bhi to hain
yuun hi nahin hain la.al-o-guhar apne haath men
dariya ke ham vajud men gharqab bhi to hain
tum ko to sirf maujon pe hasil hai bartari
dariya-e-ku-e-yar men girdab bhi to hain
jaa.ez hain be-qarariyan lekin janab-e-dil
us ki navazishon ke kuchh adab bhi to hain
bas ik jhalak dikha ke kahan chal diye huzur
in be-qarar ankhon men kuchh ḳhvab bhi to hain
phir kis tarah se pyaas ke maron ko sabr ho
kuchh log mere shahr men sairab bhi to hain
ye kya ki ‘tashna’ ‘tashna’ kahe ja rahe hain aap
‘tashna’ ke saath saath kuchh alqab bhi to hain
Leave a Reply