farebon se na bahlega dil-e-ashufta-kam apna
ba-zahir muskura kar dekhne vaale salam apna
kisi ki bazm ke halat ne samjha diya mujh ko
ki jab saaqi nahin apna to mai apni na jaam apna
agar apne dil-e-betab ko samjha liya main ne
to ye kafir nigahen kar sakengi intizam apna
mukammal kar gaya jal kar hayat-e-gham ko parvana
aur ik ham the ki afsana bhi chhoḌa na-tamam apna
jahan-e-ishq men aise maqamon se bhi guzra huun
ki baz-auqat ḳhud karna paḌa hai ehtiram apna
main divana sahi lekin vo ḳhush-qismat huun ai ‘mahshar’
ki duniya ki zaban par aa gaya hai aaj naam apna
Leave a Reply