• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sauda Tha Bala-E-Josh Par Raat

Sauda Tha Bala-E-Josh Par Raat

momin-khan-momin

sauda tha bala-e-josh par raat

bistar par bichhae nashtar raat

bigde the yahan vo aan kar raat

be-taur bani thi jaan par raat

ham ta-sahar aap men nahin the

kya jaane rahe vo kis ke ghar raat

afsana samajh ke so gae vo

kaam aai fughan-e-be-asar raat

aine men ho na mom jaadu

sote nahin ab vo ta-sahar raat

taare ankhen jhapak rahe the

tha baam pe kaun jalva-gar raat

andhera pada zamane men haae

ne din ko hai mehr ne qamar raat

is lail-o-nahar-e-gham ne maara

hai roz se siyah-tar raat

kya puchho ho munkar-o-nakir aah

bigde jo vo tan-e-ghair par raat

ye baat badhi ki mar gae ham

maut aai thi qissa mukhtasar raat

is ghar men hai aish-e-khuld ‘momin’

kya jaane kahan hai din kidhar raat

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Naghmagi Se Sukut Behtar Tha

Ishq Ke Nam Pe Daim Rahe Zindan Aabaad

Qahat-Sali Si Qahat-Sali Hai

Darwaza Koi Ghar Se Nikalne Ke Liye De

Sina-E-Sang Mein DhunDhta Hai Gudaz

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet