apne abru aaine men dekh kar bismil hua
khinch kar talvar apna aap vo qatil hua
bhaag kar kab tujh se jan-bar koi ai qatil hua
ud chala gar hosh apna tair-e-bismil hua
ab kahan naale ki us laila ka maskan dil hua
tha jaras jo pesh-e-azin vo in dinon mahmil hua
nam-e-nek ahal-e-hukumat ko kahan hasil hua
khalq men mashhur ik nau-shervan aadil hua
sar se pa tak har sanobar hi faqat kya dil hua
dekh kar us sarv-qad ko sarv bhi maail hua
is ada se baadh dekhi aap ne talvar ki
tair-e-rang-e-hina bhi tair-e-bismil hua
dhyan us ke band karne ka agar aata tujhe
kyuun na tera rakhna-e-dar mera chak-e-dil hua
hai ye gham jan-kah khal-e-abru-e-khamdar ka
kaabe men kahida ho kar sang-e-asvad dil hua
jo yahan maghlub hai uqba men ghalib hai vahi
markab-e-maqtul hai ik roz jo qatil hua
dhoe hain dhobi ne dariya men jo kapde yaar ke
aaj koson tak moattar daman-e-sahil hua
dilbari ka jab hua us sarv-qamat ko khayal
uzv uzv apna vahin misl-e-sanobar dil hua
sab ke khaliq ne banae kasa-e-sar vazhgun
aadmi is par bhi pesh-e-admi saail hua
bujh gaya mera charagh-e-dagh vasl-e-yar men
nur-e-mah nazdiki-e-khurshed se zaail hua
jo pari-ru baithta hai aa ke uth sakta nahin
ab to naqsh-e-boriya ka khuub main aamil hua
jazb-e-jinsiyyat baham rahne nahin deta firaq
kal bana jo jism-e-khaki aaj gil-dar-gil hua
haae kis qatil-ada se ki shurua us ne namaz
nikli jab takbir us ke munh se main bismil hua
kahte hain zahid miri divangi ko dekh kar
but-parasti ke sabab qahr-e-khuda nazil hua
jab tasavvur yaar ka bandha ham aap aae nazar
samne ankhon ke aina hamara dil hua
ashiq-e-be-nang se hota hai mashuqon ko nang
pairahan majnun ka phat kar parda-e-mahmil hua
samne mere raha gar shaam se le ta-sahar
husn men gar misl-e-mah-e-chardah kamil hua
ruh-e-‘nasikh’ hai usi ki ruh-e-aqdas par nisar
barha jis ke liye ruhul-qudus nazil hua
Leave a Reply