udasiyon ka samundar hai tishna-lab ab bhi
ḳhamoshi kal bhi mire ghar men thi ajab ab bhi
use to pa liya main ne baḌe vasuq ke saath
pareshan karti hai phir kaun si talab ab bhi
chalo ye maan liya hai qarib shah-rag se
samajh men aata nahin hai mujhe to rab ab bhi
salam karne laga huun main aate jaate use
javab hi nahin deta vo be-adab ab bhi
ki ab to vasl hai ye hijr bhi nahin lekin
chali hi aati hai aksar udaas shab ab bhi
main sochta huun ke maazi bhula hi duun varna
meri shikast ka ban sakta hai sabab ab bhi
Leave a Reply