miri ‘salma’ mujhe le chal tu un rangin baharon men!
jahan rangin bahishten khelti hain sabza-zaron men!
jahan huron ki zulfen jhumti hain shakh-saron men
jahan pariyon ke naghme gunjte hain kohsaron men
javani ki baharen tairti hain absharon men
miri ‘salma’! mujhe le chal tu un rangin baharon men
vo mastana baharen jin pe qurban arz-e-jannat hai
jahan har zarra ik gahvara-e-mauj-e-latafat hai
jahan rangat hi rangat hai jahan nikhat hi nikhat hai
mohabbat hukmaran hai jin ke pakiza dayaron men!
miri ‘salma’ mujhe le chal tu un rangin baharon men!
vo doshiza fazaen jannaton ka hai guman jin par
chhidakta hai mai-e-tasnim-o-kausar asman jin par
lutati hai sahab-e-husn-o-talat kahkashan jin par
surur o nuur o nikhat baste hain jin ke sitaron men
miri ‘salma’! mujhe le chal tu un rangin baharon men!
jahan shaam o sahar niili ghataen ghir ke aati hain!
ufuq ki god men nilam ki pariyan muskurati hain!
fazaon men baharen hi baharen lahlahati hain
jahan fitrat machalti hai lahakte abr-paron men!
miri ‘salma’! mujhe le chal tu un rangin baharon men!
jahan charon taraf bagh-o-gulistan lahlahate hain
shagufta vadiyon men jannaton ke khvab aate hain
jahan maasum taair ishq ke naghme sunate hain
aur un ka lahn-e-shirin gunjta hai kohsaron men!
miri ‘salma’! mujhe le chal tu un rangin baharon men!
hukumat hai jahan sidq-o-safa o mehr-o-ulfat ki
nashat-o-aish-o-ishrat ki surur-o-lutf-o-rahat ki
nasim o anjum o gul ki nava o nuur o nikhat kii!
mohabbat maujzan hai jin ke doshiza nazaron men
miri ‘salma’! mujhe le chal tu un rangin nazaron men!
jahan abad ye napak shahristan nahin hote
fasadi fitna-parvar aur zalil insan nahin hote
ye insan haan ye haivan bad-tar az-shaitan nahin hote
fasad-o-shar jahan sote hain khvabon ke mazaron men!
miri ‘salma’! mujhe le chal tu un rangin nazaron men!
bahishton ki latafat hai jahan ki zindagani men
maza aata hai kausar ka jahan ke saada paani men
khudai husn uryan hai jahan ki naujavani men!
sadaqat karvaten leti hai saz-e-dil ke taron men
miri ‘salma’! mujhe le chal tu un rangin nazaron men!
”hayat-e-daimi” likkha hua hai jin ke aivan par
iram-zar-e-abad hai saya-zan jin ke khayaban par
davamiyyat ke jalve chha rahe hain bagh-o-bustan par
guzar mumkin nahin hai maut ka jin ke nazaron men
miri ‘salma’! mujhe le chal tu un rangin nazaron men
mohabbat men jo ho jaata hai painda nahin marta!
sadaqat jis ko kar deti hai tabinda nahin marta!
hai jis men ishq raqsan vo dil-e-zinda nahin marta!
nava-e-”la-fana” hai ruuh ke khamosh taron men
miri ‘salma’! mujhe le chal to un rangin nazaron men!
Leave a Reply