• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Dil Nahin Raha Wo Tabiat Nahin Rahi

Wo Dil Nahin Raha Wo Tabiat Nahin Rahi

vo dil nahin raha vo tabi.at nahin rahi

shayad ab un ko mujh se mohabbat nahin rahi

ghabra raha huun kyon ye gham-e-narava se ab

kya mujh men gham ke sahne ki taqat nahin rahi

tum kya badal ga.e ki zamana badal gaya

taskin-e-dil ki ab koi surat nahin rahi

jiine ko ji rahe hain tumhare baghair bhi

is tarah jaise jiine ki hasrat nahin rahi

shayad koi hasin idhar se guzar gaya

vo dard-e-dil ki pahli si halat nahin rahi

jaage ho raat mahfil-e-aghyar men zarur

ankhon men ab vo kufr ki zulmat nahin rahi

jab kar diya ḳhizan ne vo rangin chaman tabah

vo husn ab kahan vo malahat nahin rahi

zahid men hai na zohd na rindon men mai-kashi

phulon men husn ghunchon men rangat nahin rahi

haan ai ‘hayat’ ham ne zamane ke dukh sahe

phir bhi hamen kisi se shikayat nahin rahi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ne Aadmi Pasand Na Isko KHuda Pasand

Bhiga Hua Hai Aanchal Aankhon Mein Bhi Nami Hai

ahmad-khayal

dariya Mein dasht dasht Mein dariya Sarab Hai

Muddat Mein Idhar Phir Wo Gul-Bar Nazar Aae

poet

Qaid Mein Rakkha Gaya Qatra to Ghaltan Ho Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet