harīm-e-dil, ki sar-ba-sar jo raushnī se bhar gayā
kise ḳhabar, maiñ kin diyoñ kī raah se guzar gayā
ġhubār-e-shahr meñ use na DhūñD jo ḳhizāñ kī shab
havā kī raah se milā, havā kī raah par gayā
tire navāh meñ rahā magar miyān-e-dīn-o-dil
gajar bajā to jī uThā, sunī azaañ to mar gayā
safed pattharoñ ke ghar, gharoñ meñ tīrgī ke ġham
hazār ġham kā ek ye ki tū bhī be-ḳhabar gayā
nagar haiñ āftāb ke, barahana gumbadoñ ke sar
saroñ pe nuur ke kalas, maiñ nuur meñ utar gayā