
Makhmoor Jalandhari
mujh se shakeb-e-qalb ka saman na ho saka
us par bhi dil ka raaz numayan na ho saka
ye dil miTa miTa sa ye sho.ala bujha bujha
ek aftab se bhi farozan na ho saka
suljha.e teri zulf-e-pareshan ke bal magar
qaa.em nizam-e-alam-e-imkan na ho saka
tujh ko tire shabab ko rang-e-baqa diya
apni hi ziist ka koi saman na ho saka
chhiḌki tire tabassum pinhan ki chandni
ḳhalvat ka rang phir bhi daraḳhshan na ho saka
baiTha raha jo gesu-e-mushkin ke saa.e men
vo pa.emal gardish-e-dauran na ho saka
a.ina aks-e-jalva se TuuTa nahin kabhi
dil yurish-e-jamal se hairan na ho saka
nashshe men tere paanv pe girta jabin ke bal
‘maḳhmur’ itna kaif-ba-daman na ho saka

Leave a Reply