vahshat men yaad aae hai zanjir dekh kar
ham bhagte the zulf-e-girah-gir dekh kar
jab tak na khaak ho jiye hasil nahin kamal
ye baat khul gai hamen iksir dekh kar
uzr-e-gunah davar-e-mahshar se kyuun karun
gham mit gaya hai nama-e-taqdir dekh kar
huun tishna-kam-e-dasht-e-shahadat zi-bas ki main
girta huun ab-e-khanjar-o-shamshir dekh kar
‘arif’ chhupa to ham se vale ham to pa gae
jo baat hai ye rang ki taghir dekh kar