dida-o-dil men utar jaata hai
har azaab aa ke Thahar jaata hai
koi ji uThta hai mujh men har roz
roz mujh main koi mar jaata hai
ye mulaqat hai chaurahe ki
dekhiye kaun kidhar jaata hai
fikr ghar ki ho to vahshat chhuTe
kar-e-vahshat ho to ghar jaata hai
raat kis tarah miri jaan guzre
din to daftar men guzar jaata hai
ye jo tufan hai us ka sahra
ek hi mauj ke sar jaata hai
ye junun kya hai ‘munavvar’ tujh ko
kyuun sar-e-sham hi ghar jaata hai
Leave a Reply