siyahkar siyah-ru khata-shiar aaya
tiri janab men tera gunahgar aaya
khizan ka daur gaya mausam-e-bahar aaya
magar na is dil-e-be-sabr ko qarar aaya
kahin javab na tu ne diya yahan ke siva
jahan men yuun to bahut main tujhe pukar aaya
sara-e-dahr men chhoda tan-e-kasif apna
ye bojh sar se musafir tira utaar aaya
hamare nala-e-dil ka na puchhiye ahval
gali se yaar ki himmat bhi ab ke haar aaya
padi jo qais ke uupar nazar bayaban men
mujhe gharib ke uupar ghazab ka pyaar aaya
na apne paanv se aana mila gali men tiri
yahan bhi chaar ke kandhon pe main savar aaya
ye iztirab hai kyuun hai kidhar ka qasd ai ruuh
kahan se aai talab kis jagah se taar aaya
bura khizan ka ho dekhe jo sukhe sukhe hont
gharib phuul pe mujh ko ghazab ka pyaar aaya
miri na puchh ki teri gali men khaak huun main
tujhi ko meri vafa ka na e’tibar aaya
lahad ne khol ke aghosh di jagah jo mujhe
lipat ke rah gae ham ko bhi khuub pyaar aaya
yaqin jaan le saaqi ki khum ki khair nahin
khuda na karda jo ab ke mujhe khumar aaya
mire nasib kahan is tarah ke dida-e-tar
sunun ye khush-khabari kaan se ki yaar aaya
nigah ne un ki jahan said-e-nau ko taak liya
ada ne un ki kaha le naya shikar aaya
tire firaq ke khugar na mar mite jab tak
qaza ke aane ka tab tak na e’tibar aaya
dila palat gaya qismat ka pahle hi paasa
ab apni jiit kahan dil jab apna haar aaya
jab ikhtiyar chaman par nahin to ham ko kya
hazar baar agar mausam-e-bahar aaya
shikayat-e-dil-e-muztar kahan talak ai maut
duaen dunga tujhe gar ise qarar aaya
javab-e-khat ka na qasid se majra puchho
hai saaf chehre se zahir ki sharmsar aaya
nazar men phir gai chaal aap ki javani ki
jo ladkhadata hua koi bada-khvar aaya
jo mangte to hamen baghban se kya milta
gharib phuul to daman ko bhi pasar aaya
na apne nala-e-dil ko mila javab kahin
nikal ke dil se tujhe arsh tak pukar aaya
adam men ‘shad’ ko kya valvala ho jannat ka
ki ye gharib to hasti se dil ko maar aaya
Leave a Reply