log tanhai ka kis darja gila karte hain
aur fankar to tanha hi raha karte hain
vo tabassum hai ki ‘ghalib’ ki tarah-dar ghazal
der tak us ki balaghat ko padha karte hain
koi jaadu koi jalva koi masti koi mauj
ham inhin chand saharon pe jiya karte hain
din pe yaron ko andhere ka guman hota hai
ham andhere men kiran dhundh liya karte hain
bastiyan kuchh huiin viran to matam kaisa
kuchh kharabe bhi to abad hua karte hain
sunne valon ki hai taufiq sunen ya na sunen
baat kahne ki jo hai ham to kaha karte hain
sahil o bahr ke aaiin salamat na rahe
ab to sahil se bhi tufan utha karte hain
log baton men baha dete hain is daur ka dard
aur ashar men ham dhaal liya karte hain
Leave a Reply