katti hai koi dam yahin auqat maze ki
duniya men ajab ja hai kharabat maze ki
kahta hai mubarak koi kahta hai salamat
hai ruuth ke milna bhi mulaqat maze ki
aage to ye chup-chap ka mazkur nahin tha
hoti thi kai dhab se inayat maze ki
buuma hai na gaali hai na chashmak-zadani hai
kya hai jo nahin aaj isharat maze ki
hone de khayal us ka ‘nisar’ aur taraf tuk
bose ki laga rakkhi hai main ghaat maze ki
Leave a Reply