• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aankhon Se Haya Tapke Hai Andaz To dekho

Aankhon Se Haya Tapke Hai Andaz To dekho

momin-khan-momin

ankhon se haya tapke hai andaz to dekho

hai bul-havason par bhi sitam naaz to dekho

us but ke liye main havas-e-hur se guzra

is ishq-e-khush-anjam ka aghaz to dekho

chashmak miri vahshat pe hai kya hazrat-e-naseh

tarz-e-nigah-e-chashm-e-fusun-saz to dekho

arbab-e-havas haar ke bhi jaan pe khele

kam-talai-e-ashiq-e-jan-baz to dekho

majlis men mire zikr ke aate hi uthe vo

badnami-e-ushshaq ka eazaz to dekho

mahfil men tum aghyar ko duz-dida nazar se

manzur hai pinhan na rahe raaz to dekho

us ghairat-e-nahid ki har taan hai dipak

shoala sa lapak jaae hai avaz to dekho

den paki-e-daman ki gavahi mire aansu

us yusuf-e-bedard ka eajaz to dekho

jannat men bhi ‘momin’ na mila haae buton se

jaur-e-ajal-e-tafraqa-pardaz to dekho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Mahw-E-ruKH-E-Yar Ho Gae Hum

TuTe Hue Khilaune Nishani Mein De Gaya

gulzar

Aankhon Mein Jal Raha Hai Pa Bujhta Nahin dhuan

taashshuq-lakhnavi

Uns Hai Khana-E-Sayyaad Se Gulshan Kaisa

Mayus-E-Azal Hun Ye Mana Nakaam-E-Tamanna Rahna Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet