qurbaton ke darmiyan bhi fasla baaqi raha
ek isbat-o-nafi ka silsila baaqi raha
har dua-e-mustahab kal ke liye rakh di ga.i
aur honTon par kasila za.iqa baaqi raha
pattharon ki sab lakiren dhire dhire miT ga.iin
nok-e-mizhgan se magar likkha hua baaqi raha
manzilon ki samt roz-o-shab yuun hi chalte rahe
raste kaTte ga.e aur fasla baaqi raha
ab safine ka pata girdab hi shayad kahe
naḳhuda gha.eb hua nam-e-ḳhuda baaqi raha
is qadar chaha ki us ko de diya sab kuchh ‘shamim’
phir bhi mere main ka mujh men ik nasha baaqi raha
Leave a Reply