• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hue Jab Se Mohabbat-Ashna Hum

Hue Jab Se Mohabbat-Ashna Hum

hue jab se mohabbat-ashna ham

nahin laate zaban par mudda.a ham

sa.adat hai jo ban jaa.en jahan men

kisi majbur dil ka aasra ham

chala.e tiir chhup-chhup kar jinhon ne

karenge un ke haq men bhi dua ham

miTega dagh-e-sajda kab jabin se

ḳhuda jaane banenge kab ḳhuda ham

hamare darmiyan kyuun fasle hain

kabhi socha na ham ne mil ke baham

ḳhamoshi maslak-e-sahab-dilan hai

kisi ko bhi nahin kahte bura ham

hamari ruuh naghma-ḳhvan rahegi

fana ho kar nahin honge fana ham

hamen hai e’timad apni vafa par

nahin karte kisi ka bhi gila ham

zamana-saz nikle tum to kya hai

zara si baat ko kya den hava ham

agar izzat na di ahl-e-haram ne

uTha la.enge apna boriya ham

tasavvur bhi nahin baaqi ḳhushi ka

gham-e-duniya men yuun hain mubtala ham

musalsal ḳhamushi ke ba.ad ‘rif.at’

sar-e-maqtal hue hain lab-kusha ham

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

gulnar-aafreen

Aankh Mein Ashk Liye Khak Liye daman Mein

Kyun Na Ho Zikr Mohabbat Ka Mare Nam Ke Sath

Chashm-O-Gosh Pe Pahre Hain

poet

Diwaron Mein Dar Rakhte Hain

MULLA JAMI

Aamad Sahar Aan dil-Bar-e-Khunin Jigran

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet