• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Chala Aa Raha Hun Samundaron Ke Visal Se

Chala Aa Raha Hun Samundaron Ke Visal Se

noon-meem-rashid

chala aa raha huun samundaron ke visal se

kai lazzaton ka sitam liye

jo samundaron ke fusun men hain

mira zehn hai vo sanam liye

vahi reg-zar hai samne

vahi reg-zar ki jis men ishq ke aaine

kisi dast-e-ghaib se tuut kar

rah-e-tar-e-jan men bikhar gae!

abhi aa raha huun samundaron ki mahak liye

vo thapak liye jo samundaron ki nasim men

hai hazar rang se khvab-ha-e-khunuk liye

chala aa raha huun samundaron ka namak liye

ye barahnagi-e-azim teri dikhaun main

(jo gada-gadi ka bahana hai)

koi rah-rau ho to us se raah ki dastan

main sunun fasana samundaron ka sunaun main

(ki samundaron ka fasana ishq ki gastarash ka fasana hai)

ye barahnagi jise dekh kar badhen dast o pa na khule zaban

na khayal hi men rahe tavan

to vo reg-zar ki jaise rah-zan-e-pir ho

jise tab-e-rah-zani na ho

ki misal-e-taer-e-nim-jan

jise yad-e-bal-o-pari na ho

kisi rah-rau se umid-e-rahm-o-karam liye

main bhara hua huun samundaron ke jalal se

chala aa raha huun main sahilon ka hasham liye

hai abhi inhi ki taraf mira dar-e-dil khula

ki nasim-e-khanda ko rah mile

miri tirgi ko nigah mile

vo surur-o-soz-e-sadaf abhi mujhe yaad hai

abhi chatti hai samundaron ki zaban mujhe

mire paanv chhu ke nikal gai koi mauj-e-saz ba-kaf abhi

vo halavaten mire hast o buud men bhar gaiin

vo jazire jin ke ufuq hujum-e-sahar se did-bahar the

vo parinde apni talab men jo sar-e-kar the

vo parinde jin ki safir men thiin risalaten

abhi us safir ki jalvaten mire khuun men hain

abhi zehn hai vo sanam liye

jo samundaron ke fusun men hain

chala aa raha huun samundaron ke jamal se

sadaf o kanar ka gham liye

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Na Paniyon Ka Iztirar Shahr Mein

poet

Kyun Mera Haal Qissa-Khwan Se Suno

poet

Mumkin Nahin dawa Hai Is Aazar Ke Liye

afsar-mahpuri

Ajib Chiz Mohabbat Ki Wardat Bhi Hai

abdul-hafiz-naeemi

Gard-e-Firaq Ghaza Kash-e-Aina Na Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet