• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Yaad Hai Ab Tak Mujhe Ahd-E-Jawani Yaad Hai

Yaad Hai Ab Tak Mujhe Ahd-E-Jawani Yaad Hai

poet

yaad hai ab tak mujhe ahd-e-javani yaad hai

dil ke basne aur ujadne ki kahani yaad hai

yaad hai ab tak kisi ki mehrbani yaad hai

arizon par apne ashkon ki ravani yaad hai

bistar-e-hirman pe vo pahlu badalna baar baar

gham ki raton men vo qahr-e-asmani yaad hai

ruthne aur ruuth kar manne ke har andaz ki

mehrbani yaad hai na-mehrbani yaad hai

yaad hai ab tak mujhe vo alam-e-guft-o-shunid

ru-ba-ru-e-dost paigham-e-zabani yaad hai

yaad hai ab tak tire maktub-e-rangin ki bahar

saada saada kaghazon par gul-fishani yaad hai

baar baar uthna sar-e-mahfil nigah-e-naz ka

gardish-e-jam-e-sharab-e-arghavani yaad hai

qurb ki ghadiyon men gaahe hijr ke lamhat men

kamrani yaad hai na-kamrani yaad hai

bargah-e-husn men ai ‘barq’ fart-e-roab se

yaad hai ab tak vo apni be-zabani yaad hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

zehra-nigaah

Barson Hue Tum Kahin Nahin Ho

Yar Ki Mahfil Saji Mai Ki Mahak Chhane Lagi

ahmad-ashfaq

Sab Jal Gaya Jalte Hue Khwabon Ke Asar Se

abu-bakr-abbad

Jaane Kyun Aisa Hun Main

gulzar

Har Ek Gham Nichod Ke Har Ek Baras Jiye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet