go is safar men thak ke badan chuur ho gaya
main us ki dastaras se magar duur ho gaya
ab us ka naam le ke pukaren use kahan
sahra bhi ab to ḳhalq se ma.amur ho gaya
kyuun us ne haath khinch liya mere qatl se
kyuun mujh pe rahm kha ke vo maghrur ho gaya
sab apne apne ghar men nazar-band ho ga.e
ab shahr pur-sukun hai mash.hur ho gaya
qismat ne la ke us ko khaḌa kar diya kahan
a.ina dekhne pe vo majbur ho gaya
Leave a Reply