koi bhi lafz-e-ibrat-ashna main paḌh nahin sakta
basirat ko na-jane kya hua main paḌh nahin sakta
samundar ne hava ke naam ik ḳhat reg-e-sahil par
kisi murda zaban men likh diya main paḌh nahin sakta
ye insanon ke mathe to nahin katbe hain qabron ke
har ik chehre pe us ka marsiya main paḌh nahin sakta
zamin o asman suraj sitare chand sayyare
kitab-e-da.era-dar-da.era main paḌh nahin sakta
Leave a Reply