• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Is Iltifat Par Koi Daman Na Tham Le

Is Iltifat Par Koi Daman Na Tham Le

is iltifat par koi daman na thaam le

hai maslahat yahi ki taghaful se kaam le

kuchh der ki ḳhushi se to behtar hai gham mujhe

meri taraf na dekh na mera salam le

main bhi to teri bazm men aaya huun der se

ab tu bhi mujh se ho ke ḳhafa intiqam le

ji bhar ke pahle apni nazar se pila mujhe

varna ye mai-kada le surahi le jaam le

meri nigah-e-shauq pe phir kijiyo nazar

pahle zara ḳhud apne kaleje ko thaam le

mahfil men sab ke samne dad-e-ghazal na de

yuun dil hi dil men shauq se lutf-e-kalam le

jis ne kabhi ḳhulus bhi manga na ho tira

is ahl-e-dil ka naam ba-sad-ehtiram le

jiine na denge dekhne vaale kabhi hamen

achchha ye hai ki jabr-e-mohabbat se kaam le

hai dekhna hi meri taraf to ba-ehtiyat

mahfil men pahle ja.eza-e-ḳhas-o-am le

tera huun aur tera rahunga tamam umr

lekin mire liye na koi ittiham le

milna nasib men hai to mil ja.enge kabhi

jan-e-‘shamim’ sabr-o-tahammul se kaam le

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

kavita-kiran

Wafa Ka Zikr Nahin Hai Karam Ki Baat Nahin

Har Lamha Zulmaton Ki Khudai Ka Waqt Hai

Sahra-E-Karbala-E-Rah-E-Ashiqan Ke Beach

Sufi

Na Karb-e-Hijr Na Kaiffiyat-e-Visal Mein Hun

Hawaon Ka Zor Aazmate Rahe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet