dard tera tha tire yaar se lag kar roya
ya.ani bimar tha bimar se lag kar roya
saḳht kohram-zada shaḳhs tha mera hamdard
yuun laga jaise main bazar se lag kar roya
chaar su phail gaya zard udasi ka hisar
koi dar se koi divar se lag kar roya
kis ne bhaḌka.i mire jism men taslim ki aag
kaun mujh men tire inkar se lag kar roya
niind bechain thi bimar ki ankhon ke liye
ḳhvab ka zaḳhm azadar se lag kar roya
Leave a Reply