ho gaya hai ek ik pal kaTna bhari mujhe
maar degi zindagani ki giran-bari mujhe
dar-ba-dar phir phir ke ḳhud apne se nafrat ho ga.i
khokhla sa kar gaya hai ranj-e-bekari mujhe
itna kuchh dekha ki sab kuchh ek sa lagne laga
kar gaya hai vaqt mahsusat se aari mujhe
main siyah malbus guzre vaqt ka huun matami
ziist ne saunpi hai maazi ki aza-dari mujhe
ek ik kar ke kaTe bahar ke saare rabte
kar ga.i tanha miri sochon ki bimari mujhe
ji men aata hai bikhar kar dahr bhar men phail ja.un
qabr lagti hai badan ki char-divari mujhe
tu nazar aaya to jangal zaat ka jal ja.ega
raakh kar degi tiri ḳhvahish ki chingari mujhe
roz o shab rahta huun gum-sum aur mutafakkir ‘riyaz’
karni hai kis imtihan ki jaane tayyari mujhe
Leave a Reply