
Shauq Bahraichi
manzil hai kaThin kam zad-e-safar ma.alum nahin kya hona hai
aur langDa apahij hai rahbar ma.alum nahin kya hona hai
ḳha.if na ho kyuun har fard bashar ma.alum nahin kya hona hai
hai vaqt ke hathon men hunter ma.alum nahin kya hona hai
dekha hai ye aksar shaam o sahar rah-rau to hai rah-rau ḳhud rahbar
har gaam pe khate hain Thokar ma.alum nahin kya hona hai
lafzon ka bayan dilkash dilkash duniya-e-amal suuni suuni
schemen hain gaTThar ka gaTThar ma.alum nahin kya hona hai
azadi ke phal rangin rangin khane men bahut miThe miThe
kiiḌe hain magar andar andar ma.alum nahin kya hona hai
garmi-e-mizaj-e-dost ka ham andaza karen to kaise karen
bigḌa hua hai thermometer ma.alum nahin kya hona hai
hairan huun ki is gardun ke tale tanzim ki gaaḌi kaise chale
pahiye men hazaron hain puncture ma.alum nahin kya hona hai
maali to hai kuchh ruTha ruTha aur ahl-e-chaman bigḌe bigḌe
bijli ki nazar chhappar chhappar ma.alum nahin kya hona hai
gesu hain pareshan bulbul ke aur chaak gireban hain gul ke
panic men hai sabza shaam o sahar ma.alum nahin kya hona hai
be-lazzat kaif-o-masti ke mallah bhi himmat haare hain
ḳhushki men phansa hai ambassador ma.alum nahin kya hona hai
hai shaiḳh ki milkiyyat ka.aba miras-e-barahman but-ḳhana
chha.e hue har-su hain joker ma.alum nahin kya hona hai
pheri hain ahibba ne ankhen badle hain aizza ne tevar
hai ‘shauq’ har arazi banjar ma.alum nahin kya hona hai

Leave a Reply