vajibi baat kahin zara kahiye
bari lagti hai sab ko kya kahiye
mujh ko ik ye baḌi si hairat hai
bure ko kis tarah bhala kahiye
neki ka phal badi laga hone
is zamane ka kya gila kahiye
charḳh-e-zalim ne sab ko Daala piis
is ko tahqiq asiya kahiye
aur hi ahval dekhta huun main
kis ke aage ye majra kahiye
ja-ba-ja chhuTen jhuuT ke shishe
ye bhi yaron ka ishqala kahiye
ammi kahte hain ham to hain fazil
bevaqufon ka dar khula kahiye
apni karte hain aap hi tarif
un ke ta.iin ko to chutiya kahiye
be-shu.uri pe bas-ki hain nazan
kyuun na ab un ko na saza kahiye
shaiḳh-ji ne kiya hai aaj ḳhizab
is ko buḌhe ka chochala kahiye
logon ke phoḌta phire shishe
mohtasib ko to masḳhara kahiye
poch padar hua bake hai suḳhan
naseh ko ḳhvah-maḳhvah saḌa kahiye
apna sar phoḌta hai aap raqib
shauq se is ko mud-jhaḌa kahiye
maare ḳhandon ke mard-e-adam ko
koi puchhe nahin hai kya kahiye
DaḌhi mila ki go ki hai ḳhu-gir
par mahadev ki jaTa kahiye
jin ki hurmat pe kuchh nahin hai nigah
in ko pa-posh ka tala kahiye
chhupte phirte hain vaqt-e-jang-o-jadal
buzdila un ko barmala kahiye
ḳhud-pasandi men gharq hai aalam
‘nayan’ ko kis ko ab bura kahiye
Leave a Reply