haqiqat ban ga.i ḳhud hi hijab ahista ahista
nazar ko le mara zauq-e-sarab ahista ahista
taḌap paida to kar dil men ruḳh-e-zeba ke sauda.i
sarak ja.ega ḳhud un ka naqab ahista ahista
saliqa aa gaya hai shaiḳh ko bhi hosh-mandi ka
laga hai mangne jam-e-sharab ahista ahista
jahan-e-ab-o-gil bhi dekhne ki chiiz thi lekin
bashar ne kar diya us ko ḳharab ahista ahista
koi din ke hain jalve mastiyan bhar do fazaon men
guzar ja.ega ye ahd-e-shabab ahista ahista
bashar ab rokne ko hai mah-o-anjum ki gardish ko
ye dekhega ḳhuda.i ke bhi ḳhvab ahista ahista
ye rudad-e-mohabbat hai ise kahna tahammul se
suna ja.ega ai ‘sabir’ ye baab ahista ahista
Leave a Reply