vabal-e-jan har ik baal hai myaan
ta.alluq dil ka kya janjal hai myaan
talab men kaun duniya ki ho pamal
ye baitulmal kuchh bhi maal hai myaan
ye kala-e-jahan ka munh ho kaala
agar samho to ji ka kaal hai myaan
suna hoga jo kuchh majnun ka ahval
vahi apne bhi hasb-e-hal hai myaan
taḌap kar ru-ba-ru ham us ke mar ga.e
na puchho kya mira ahval hai myaan
qadam rakhte tumhare dil taḌap ga.e
ye koi chaal hai bhaunchal hai myaan
nahin jaata Dafali-pan ka sauda
ajab sir par mire dhammal hai myaan
khula kab maulvi se uqda-e-dil
bahut ye mas.ala ashkal hai myaan
agar hai qaul to ma.asum ka hai
siva is ke to qil-o-qal hai myaan
‘raza’ kya mil ga.e us jang-ju se
tumhara aaj chehra laal hai myaan
Leave a Reply