chand mere ghar men utra tha kahin Duuba na tha
ai mire suraj abhi aana tira achchha na tha
main ne sun li thi tire qadmon ki aahaT duur se
tu na aa.ega kabhi dil men mire dhaḌka na tha
main ne dekha tha sar-e-a.ina ik paikar ka aks
hu-ba-hu ham-shakal tha mera magar mujh sa na tha
kyuun jhulas Daala hai us ne mere ḳhadd-o-ḳhal ko
vaqt ik dariya tha lekin aag ka dariya na tha
band paani ke bhanvar men kho ga.i kashti miri
aankh jal-thal thi magar aansu koi Tapka na tha
main na daman-e-charagh-e-be-nava ban kar jala
thi talab jhonke ki mujh ko aur tu jhonka na tha
ghuum kar dekha to tha jis raah par tanha ravan
bhiiḌ itni thi ki chalne ko vahan rasta na tha
main ki vus.at ki tamanna men bagula ban gaya
ret ke zarre the daman men mire sahra na tha
kahish-e-soz-o-ziyan ne raakh kar Daala mujhe
main ne samjha tha ki ye sho.ala yahan jalta na tha
mere sahra ki tapish ko dekh kar hairan na tha
abr ghir kar barha aaya magar barsa na tha
apne bachchon ka tabassum dekh kar ‘arif’ bata
ghar ki virani ka tujh ko shikva-e-beja na tha
Leave a Reply