dil dekh rahe hain vo jigar dekh rahe hain
chhoḌe hue tiron ka asar dekh rahe hain
har roz jafa.en hain na.i aur naya gham
sau sau tarah ashiq ka jigar dekh rahe hain
har lamha zamane ka hai hangama-ba-daman
paida hai qayamat ka asar dekh rahe hain
ai gardish-e-dauran tire jan-soz nazare
dekhe nahin jaate hain magar dekh rahe hain
ham mai-kade men ja ke hue tishna ziyada
badli hui saaqi ki nazar dekh rahe hain
ashob ka ai ‘taj’ hai ye haal ki har roz
milte hue miTTi men guhar dekh rahe hain
Leave a Reply