pesh-e-zamin rahun ki pas-e-asman rahun
rahta huun apne saath main chahe jahan rahun
kaisa jahan kahan ka makan kaun la-makan
ya.ani agar kahin na rahun to kahan rahun
ai ishq mera hona na hona hai mujh talak
ab main nishan khinchun ki main be-nishan rahun
kya DhunDhta rahun main yunhi dahr men sabat
kya marg-e-na-gahan ke liye na-gahan rahun
ḳhakistar-e-sitara hai a.inda-e-numu
behtar yahi hai main kisi janib ravan rahun
Leave a Reply