pahaḌ sahra nadi ne hamen talash kiya
hamare ba.ad sabhi ne hamen talash kiya
kaha tha ham ne tumhen kab hamen talash karo
tumhari apni kami ne hamen talash kiya
kisi ne naam kisi ne vajud DhunDa hai
zara zara sa sabhi ne hamen talash kiya
talasha pahle ḳhushi ko jagah jagah ham ne
phir is ke ba.ad ḳhushi ne hamen talash kiya
hamari hasti men kuchh aisa hai ki jis ke sabab
tamam umr sabhi ne hamen talash kiya
Leave a Reply