kabhi jhuTe sahare gham men raas aaya nahin karte
ye badal uḌ ke aate hain magar saaya nahin karte
yahi kanTe to kuchh ḳhuddar hain sehn-e-gulistan men
ki shabnam ke liye daman to phailaya nahin karte
vo le len gosha-e-daman men apne ya falak chun le
miri a.ankhon men aansu baar baar aaya nahin karte
saliqa jin ko hota hai gham-e-dauran men jiine ka
vo yuun shishe ko har patthar se Takraya nahin karte
jo qimat jante hain gard-e-rah-e-zindagani ki
vo Thukra.i hui duniya ko Thukraya nahin karte
qadam mai-ḳhana men rakhna bhi kar-e-puḳhta-karan hai
jo paimana uThate hain vo tharraya nahin karte
‘nushur’ ahl-e-zamana baat puchho to larazte hain
vo sha.er hain jo haq kahne se katraya nahin karte
Leave a Reply