kaali ghazal suno na suhani ghazal suno
mausam ye kah raha hai ki dhani ghazal suno
jaaga vo dard dil men ki aansu nikal pade
barsa hai aaj tuut ke paani ghazal suno
afsana-e-junun nahin paband-e-mah-o-sal
yaad aa raha hai daur-e-javani ghazal suno
apni tamam aql-parasti ke bavajud
ye zindagi hai ab bhi divani ghazal suno
yuun to sukhan ke aur bhi pairae hain magar
kahni hai ham ko dil ki kahani ghazal suno
hon zakhm-e-ishq ya ki zamane ke dard-o-dagh
har gham yahan hai dushman-e-jani ghazal suno
khun-e-jigar men fikr ki gahraiyan bhi hain
gar hai mizaj-e-falsafa-dani ghazal suno
sar par hava-e-sang-e-malamat chali bahut
lekin ghazal ne haar na maani ghazal suno
zeb-e-shafaq hai nau-e-bashar ka lahu ‘sahar’
har shai hai is jahan ki faani ghazal suno
Leave a Reply