
Anand Narayan Mulla
jab dil men zara bhi aas na ho iz.har-e-tamanna kaun kare
arman kiye dil hi men fana arman ko rusva kaun kare
ḳhali hai mira saghar to rahe saaqi ko ishara kaun kare
ḳhuddari-e-sa.il bhi to hai kuchh har baar taqaza kaun kare
jab apna dil ḳhud le Duube auron pe sahara kaun kare
kashti pe bharosa jab na raha tinkon pe bharosa kaun kare
adab-e-mohabbat men bhi ajab do dil milne ko raazi hain
lekin ye takalluf haa.il hai pahla vo ishara kaun kare
dil teri jafa se TuuT chuka ab chashm-e-karam aa.i bhi to kya
phir le ke isi TuuTe dil ko ummid dobara kaun kare
jab dil tha shagufta gul ki tarah Tahni kanTa si chubhti thi
ab ek fasurda dil le kar gulshan ki tamanna kaun kare
basne do nasheman ko apne phir ham bhi karenge sair-e-chaman
jab tak ki nasheman ujḌa hai phulon ka nazara kaun kare
ik dard hai apne dil men bhi ham chup hain duniya na-vaqif
auron ki tarah dohra dohra kar us ko fasana kaun kare
kashti maujon men Daali hai marna hai yahin jiina hai yahin
ab tufanon se ghabra kar sahil ka irada kaun kare
‘mulla’ ka gala tak baiTh gaya bahri duniya ne kuchh na suna
jab sunne vaala ho aisa rah rah ke pukara kaun kare

Leave a Reply