miri vafa ka tira lutf bhi javab nahin
mire shabab ki qimat tira shabab nahin
ye mahtab nahin hai ki aftab nahin
sabhi hai husn magar ishq ka javab nahin
miri nigah men jalve hain jalve hi jalve
yahan hijab nahin hai yahan naqab nahin
junun bhi had se siva shauq bhi hai had se siva
ye baat kya hai ki main maurid-e-itab nahin
yahan to husn ka dil bhi hai gham se sad paara
main kamyab nahin vo bhi kamyab nahin
yahan to raat ki bedariyan musallam hain
magar vahan bhi hasin ankhdiyon men khvab nahin
na puchhiye miri duniya ko meri duniya men
khud aftab bhi zarra hai aftab nahin
sab hi hain mai-kada-e-dahr men khirad vaale
koi kharab nahin hai koi kharab nahin
‘majaz’ kis ko main samjhaun koi kya samjhe
ki kamyab-e-mohabbat bhi kamyab nahin
Leave a Reply