jis bhi lafz pe ungliyan rakh de saaz kare
nazm ki marzi kaise bhi aghaz kare
kaun laga.e qadghan ḳhvab men ashiya par
aa.ina haath mila.e aks avaz kare
jab bachchon ko dekhta huun to sochta huun
malik in phulon ki umr daraz kare
sote jagte kuchh bhi bolta rahta huun
kaun bhala mujh aise ko hamraz kare
qadam qadam par in ki zarurat paḌti hai
aankh se kahna aansu pas-andaz kare
Leave a Reply