kiita kahin pukar ai ghafil biya biya
phirta hai kyuun tu bhuul apas ka piya piya
bujha hai kyuun ajal ko apas se ba.iid kar
ghaflat men chup umar ko tu zaa.e kiya kiya
ab to samajh Tuk ek tira jaan kaun hai
paapa hai ji ko jis ne mua nahin jiya jiya
lekin nahin hai kaam har ik ḳhaam ka yahan
ashiq vahi hua hai ki jo sar diya diya
pahuncha hai jo ki ishq men manzil ko vasl ki
be-shak sakal jahan men hua be-riya riya
jo kui qadam ko apne rakha rah-e-ishq men
kahte hain ashiqan ki vo manzil liya liya
donon jahan se kaam nahin mujh ko ai ‘alim’
bas hai mujhe karim diya so hiya hiya
Leave a Reply