tere jaisa koi mila hi nahin
kaise milta kahin pe tha hi nahin
ghar ke malbe se ghar bana hi nahin
zalzale ka asar gaya hi nahin
mujh pe ho kar guzar ga.i duniya
main tiri raah se haTa hi nahin
kal se masruf-e-ḳhairiyat main huun
sher taaza koi hua hi nahin
raat bhi ham ne hi sadarat ki
bazm men aur koi tha hi nahin
yaar tum ko kahan kahan DhunDa
jaao tum se main bolta hi nahin
yaad hai jo usi ko yaad karo
hijr ki dusri dava hi nahin
Leave a Reply